Kal Halki Si Barsaat Mein Ho Gayi Mulaakat Unse,
Nazron Ki Shabnam Ne Jaise Kar Li Ho Har Baat Unse,

Unki Aankhon Mein Thi Aisi Kashish Ke Kya Kahein,
Mere Jism Ke Rom Rom Ne Kar Li Mohabbat Unse,

Masoom Hai Kuch Is Qadar Unki Chune Ka Ehsaas,
Aakhir Ek Mod Par Kar Li Meri Haya Ne Hararat Unse,

Palkon Ke Parde Mein Karwat Leti Thi Kuch Paak Khataye,
Meri Muskurahat Ne Kar Hi Li Ho Jaise Shararat Unse,

Gaane Lagi Unki Khamoshi Kuch Aise Haseen Nagme,
Sambhle Na Jaate The Shayad Apne Khayalaat Unse,

Mera Aanchal Bhi Karne Laga Kyon Bewafai Mujhse,
Chhuda Ke Mere Haathon Ki Zameen Gaya Lipat Unse,

Boondon Mein Baras Raha Ho Jaise Aasmaan Se Pyar Beshumar,
Kuch Khamosh Se Sawalon Ke Mil Gaye Ho Jawab Unse.

Comments :
0 comments to “gazal 2012”
Post a Comment